Tuesday, August 16, 2011

love Poetry




Is Qadar Door Jate Hain Wo, 
Ki Bahut Yaad Aate Hain Wo, 

Khauf Ki Ek Siyaah Raat Mein, 
Jaise Deepak Bujhate Hain Wo,

Zindagi Ke Har Ek Mod Par, 
Hausla Phir Badhate Hain Wo,

Zulf Hai Ya Hai Kaali Ghata, 
Jaise Barkha Bulate Hain Wo,

Chant Gayi Chand Ki Roshni,
Rukh Se Parda Uthate Hain Wo,
“Raaz” Ki Baat Hai Doston,
Apna Mahram Batate Hain Wo.

Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.

Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.

Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori to nahin.

Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein.

Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin.

Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat pe.

Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori to nahin.

Ab to nikal ke aankhon se,yaadon mein ja basa woh.

Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori to nahin.

Us ke gar ki taraf uthte hi ruk jaate hain kadam.

Badnaami se us ki darta hoon,koi maazoori to nahin.

Kiyon log madhosh hote hain meri mehak se.

Dil ki jalan aur aansouon ka atar hai,mehak-e-kafoori to nahin.

Dair karta hoon har kaam mein,kehte hain dost mere.

Kum aqali hai meri koi shaoori to nahin.

Kiyon sulgaata hai apne aap ko ae mian.

Dil bhi tera,jaan bhi teri,koi tandoori to nahin.




aankhon mein aansu



‎Dil me dhadkan aur aankhon mein 

aansu tham jate hai, jab kabhi ham 

aap ke is ashiyane me aate hai...thaam

to lete hai adharo ki kapkapahat do ghadi...

par in aansuo ka kya kare jo pal bhar me bikhar jate hai...!!!




Zeher Zindagi Ka Muskura ke Piyo,
Rote Hue Ko Hasa ke Chalo,
Safar Zindagi Ka Kat Jayega Yuhi,
Bas Sabko Apna Bana ke Jiyo.

Ek Tu Hi Hai Jo Mere Dil Ke Karib Hai,
Teri Dosti Hi Mera Accha Naseeb Hai,
Haare Hai Hum ab Tak apni Zindagi Mein,
Tera Hona Hi is Zindagi ki Jeet Hai.

Khata ho gayi hai to saja suna do,
Dil me itna dard kyo hai wajah bata do,
Der ho gayi hai yaad karne me jarur Lekin,
Tumko bhula denge ye khayal dil se mita do !

Hum iss qadar tumpe mar mittege
Tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege
Rakhna har pal iss dil mein hamari yaad
Hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege..

Zindagi Mai Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge !

Romantic Poetry

pyar mein Azmaish


Azmaish pyar mein zaruri hoti hai,
Na mil pana kisi ki Majburi hoti hai,
Yaad dur se toh App kar sakte hai,
Lekin dil ki hasrat milne se puri hoti hai.



Aankhoan Mein Noor


Aankhoan mein jo noor na hota,
tanha dil majboor na hota,
hum apko khud good night kahne ate,
agar apka ashiyana humse door na hota



Kaash Tu



Kaash tu meri jindagi me aayi nahi hoti,
Ye chand ye taare ye khudai nahi hoti,
Mei tumhe haden tod kar pyar krta,
Agar tu mujh se prayi na hoti.

Teri Ek Hasi Pe



Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jaoo,
Aitraaz na ho agar to tera dil chura le jaoo,
Na behne du kabhi in aakho se aansu,
Tu kahe to tere saare sitam sah jaoo.

Hasta hua rakhu tere labo ko hamesha,
Chumkar jinhe woh pyaari muskaan de jaoo,
Seene se laga ke rakhu tumhe,
Mann to karta hai tujhme sama jau.
Sunti hi rahu tumhari dhadkano ko,
Aur apne dil ki har baat kah jau,
Gum ko kabhi kareeb na aane du,
Aur tumhe Zindage ki khushiya tamaam de jaoo.

Izhar-e-Pyar


Hal-e-Dil Zuban Per Lane Se Pehle
Kaha usne Apna Banane Se Pehle,
Ke Tere Dil May Jagha Chahata Hon
Bata Don Tumhae Dil Lagane Se Pehle,
Ke main Tujh main Khud Ko Ayaan Chahta Hon
Bata Du Tumse Tumko Churane Se Pehle,
Ke Main Tere Ansoo Palkon Pe Sajana Chahta Hon
Bata Don Tumha Muskurane Se Pehle,
Ke main Tujmay Rang-e-Wafa Chahta Hon
Bata Du Tumhe Azmanay Se Pehle,
Ke Main Umer Bhar Saath Tera Chahta Hon
Bata don Tumhe Door Janay Se Pehle,



Umeed


Shayad Kabhi Wo Aye Meri Reguzer May
Bus Es Liay Hi Hum Nay Raste Ko Sajja Rakha Hia,
Shayad Kabhi Wo Yaad Kare Mujko Kisi Pal
Bus Es Liay Os Ki Yaad May Zamanay Ko Bhula Rakha Hai,
Shayad Kabhi Wo Poche Mujse Hal-e-Dil Mera
Bus Es Liay Hi Hum Nay Osay Dil May Basa Rakha Hai,
Shayad Osay Pasand Nahi Aankh May Ansoo
Bus Es Liay Lab Pe Hasin Ko Saja Rakha Hai,
Shayad Kabhi Wo Poch Lay Dil May Kon Hai
Bus Es Liay Dil Pe Oska Nam Likha Rakha Hai
Shayad Kabhi Wo Likh Ley Apne Dil Pe Mera Nam
Bus Esi Umeed Pe Daman-e-Dil Ko Phaila Rakha Hai ,
Shayad Kabhi Wo Lot Key A Jaey Mere Pass
Bus Esi Liay Hi Hum Nay Darwaza Khula Rakha Hai.



Aankhon me
Aankhon me tera hi chera,
hoto pe tera hi nam,
dil me tera hi sans chupi hai.
pana cahta hoon tuje,
apna banana cahta hoon tuje,
bus yahi ek aas baki hai.





Woh ruthate rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.


Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai..

Barso ke baad hoti hai mulakat
fir bhi rahti hai Dil me Dil ki baat
Nazro se karna padta hai pyar
Par Nazar milane ke liye bhi
karna padta hai Intezar


Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.



Funny Poetry



Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge
`
Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye ! Dastaan Hi Kafi Hai.
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai
`
Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.
`
Yun durr reh! kar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
`
Zamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.
`
Hum to dil deneko taiyar baithe hai,
Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,
Par hai re meri futi kismat,
Koi dil leneko hi taiyar nahi.
`
Bekabu hai dil fir bhi jiya ja raha hu,
Khali hao botal fir bhi piya ja raha hu,
Majburi to dekho is dil ki.
Reply nahi mil raha fir bhi msg kiya ja raha hu.
`
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya.



Co-education K Side Effects

BOY.......:
tum se bichra tou ye ehsas huwa,
ye ishq na hum ko raas huwa,
mere dil ka satiyanaas huwa,
humara daakh-la(addmission) tou aik sath huwa,
per gazab k tere sath huwa,
tu husn ki devi fail hui,
mai dard ka mara pass huwa.

GIRL.......:
mai clas mei tum ko dekhti thi,
din raat mei tera sochti thi,
kitab ko jab mei uthati thi,
teri yadon mei kho jati thi,
par tuj ko na ehsas huwa,
ye gazab tou mere sath huwa,
mai pyar ki pyasi fail hui,
tu jhoota aashiq pass huwa.




Student ki Pehchan


Multani yarYeh Student Ki pehchan Hai
Hath main Cigrette Moo Main pan hai
Mashoor yeh Shaitan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai



Parhna iSey aata nahi
Class kabhi jata nahi
Canteen iS ki jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai



Jalson main Sab Se aagey hain
Naron main Sab Se aagey hain
Imtehaan main naqal iS ki aan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai


Larkiyon ke peechey hai Para
Jo larki ghussa ho zara
Tab yeh banta Bhai jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai

Tumse mila main kal to


Tumse mila main kal to,
mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho:
Your file not found!


Aisa bhi nahin hai ke,
I don`t like your face
Par dil ke computer mein,
nahin hai enough disk space


Ghar se nikalti ho tum jab,
pehen ke evening gown
Too many requests se,
ho jaata hai server down


Tumhaare liye pyaar ki application,
create main karoonga
Tum usse debug karna,
wait main karoonga


Tumhaara intezaar karte karte,
main so gaya
Yeh dekho mera connection,
time out ho gaya

yaadein


 Yaad to karte hain unko hum sadaa hi raat din 
Khwaab mein unke kabhi kyaa hum nahi hote



Baatne se bhi ye gham kyon kam nahi hote
Aansuon se dil ke kone nam nahi hote


Thi bahut ummeed apno se is dil ko kabhi
Par hamesha saath to ye hamdam nahi hote


Pyaar miltaa jinhen ranjish nahi koyi kabhi
kya kabhi aise dilon mein gham nahi hote


Yaad to karte hain unko hum sadaa hi raat din
Khwaab mein unke kabhi kyaa hum nahi hote ?

Teri yadon se bach niklun



Teri yadon se bach niklun muje tadbir de koi,
Meri janib se har rasta teri ghar k janib nikalta hai..

Yadain jaag jati hain

Yadain Jaag Jati Hai Barisho K Mosam Mai
Har Ghari Satati Hai Barisho K Mosam Mai
Shaam B Kisi Surat,Chain Se Nahi Kat-ti
Subhain B Satati Hai Barisho K Mosam Mai
Zehn K Jarokay Mai Jab Koyi Sadaa Obray
Aankain Bheeg Jati Hai, Barisho K Mosam Main…..






Monday, August 15, 2011

Filmi Poetry


From Saawariya Movie

Teri baat hi sunane aaye
Dost bhi dil dukhane aaye
Phool khilte hain to hum sochte hain
Tere aane ke zamane aaye
Dil dhadkta hain safar ke samay
Kaash phir koi bulane aaye …….
DIL YAAD HUME KABHI KABHI KARTA HOGA
DHADKAN BEKABU ROZ NA HOTA HOGA
HUMARE TO LAHU MAIN GHULI HEY TERI DOSTI
AUR AWAZ WAHA SE AATI HEY TERI WAFAON KI…..
Mehefilo main auro ko khush kiya jata hey
Tanhaeeyo main khud ko khush kiya jata hey
Tanhaee ki is khubsurtiko samjo
Aur mast ho zindagee jiyo
Phir chahiye mehefil ho ya tanhaee
Khushiya to har jagah milegee…..
Pyar ho ya dosti ho
Inme wafadaree ki koi baat nahin hoti
Inme to bus ehesas hoten hey
Jinme bewafaee ke liye koi jagah nahin hoti…
Nakhuda maan ke baithe hai jinki kashti mein,
Woh hume maujo mein le aye hai dubone ke liye,
Woh hawaon ki tarah rukh badal lete hai,
Hum naseebon se ladhe the jinhe pane ke liye…

From Diljale Movie

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye yeh hawa ka woh jhoka hai
Aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,ek rangeen dhokha hai
Aur kuch nahi
Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe
Dil kabhi kisi se lagana nahi.
Kyuon Banati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
Kal to mera naam tak bhul jayogi tum

From Fanaa Movie

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde…
Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaye…
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….
Phool hun Gulaab ka
Chameli ka mat samjhna
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samjhna…
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte…
Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhe Sujane De
Baho Mein Le Le Aur, Khud Ko Bheeg Jane De
Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya, Wo Choot Jayega
Hai Itna Dard Ki, Tera Daaman Bheeg Jayega…
Adhuri saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hum
Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum..

From Tum Bin Movie

Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…
Phir Shaam-E-Tanhaai Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikalne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hain
Tum Bin Bahut Hum Akele Hain
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…
Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofaan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…

From Devdas Movie

Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to dard nahi hota
Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hain..
Apne hisse ki zindagi to hum kabke jee chuke,
Ab to sirf dhadkanon ka lihaj karte hain,
Kya karen is duniya walon ka,
Jo aakhari dhadkano pe bhi aitaraz karte hain…
Yu nazar se nazar ki baat ki, ki dil chura le gaye
Hum to samjhe the but, aap to dhadkan suna gaye..

Sad Poetry



WAQT NAHI

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……
.

Khiyaalon Ki Duniya

khiyaalon ki duniya ko bhool jayo
agar sulgata hai dil tou uss par dhool payo
kambakhat pyar ko na uksayo
jo kismat mein na likha ho
uske peeshe baar baar ne jayo….

Ishq Toa Raah Hai

Iss raah mein bahut saathi mil jayenge
Waqt ke saath shayd who bhi choot jayenge
Bass karma ik khayal
Kissi khoobsurat saathi pe Yeh dil na kurbaan kar dena
Ishq toa raah hai, Aye Musafir
Ise manzil na samajh lena.

Mitti Waangh

Saadi rol zindagi mitti vich
ajj kishtan vich oh rulde ne
saade hosh bhulaake sadkan vich
kinjh roliya jindre khulde ne
koi rab raakha koi alla kehke
sir te rakhda hath jiha
mainu ajj b chete ounda eh
mainu chup karounda kath jiha
sach kiha siyaane santa ne
dukh ounda jaanda b kadey
par manno dukh da saathi oh
jo dukh b paa ke hass piya
iss duniya vich na ghar mera
kabran vich ghar bnaawa ge
us din “sabi” di jitt hovey
har khoya rishta paawa ge…….

Pyar Di Sazaa

pyar di sazaa…
kade kol aa gaye kade door ho gaye,
ona ikk waar na mud ke takkeya sanu, par assi ode layi bewaffa zaroor ho gaye…
ki galti hoyi saathon assi puchde rahe,,
ohh kehnde assi majboor ho gaye,,
assi mangte rahe duavan usdi khushi diyaan ohh saanu chad kisi hor diyan akhan de nooor ho gaye,
ohh sochde rahe khush haan assi,, par assi tutt ke choor ho gaye,
sanu mili pyaar karan di ohh saza…. te ohh maarr ke vi sanu,
bekasooor ko gaye….

Oh Aunde Aunde Mudge

Oh Aunde Aunde Mudge Sadi Zindagi Cho,
Din Teeyan Warge Turge Sadi Zindagi Cho,
Supne Sunehri Rakhe Si Bade Sambh Asi,
Sab Hanju Ban Ke Rudge Sadi Zindagi Cho,
Halata De Ambra Vicho Aisi Dhup Chamki,
O Kache Rang Wangu Udd Gaye Sadi Zindagi Cho,
Har Gal Naal Jo Tere Tere Kehnde Si,
Gairan De Hisse Judge Sadi Zindagi Cho,
Skikwa Nai Os Rabb Utte Sab Kuj Mileya Mainu,
Bas Ohi Kalle Thudd Gaye Sadi Zindagi Cho. . . .

Aankhon Ki Dehleez Par

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Tanhai Ne

Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gum ye nahi hai ki woh bhool gaye humko
Gum yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!!!!!

Aaj Kal

Apne bhi dil se nahin bolta koi aaj kal,
Pyar ko bhi thukrata hai har koi aaj kal,
Kisiko bhi kisise juda hone ka gham nahin,
Apno ko bhi bhula deta hai har koi aaj kal

Tanhahiya

Tanhaaiya gungunane lagi
Har saans tumhara naam leti rahi
Har waqt tera intezaar karti hai
Aur tum naa aaye mere jeevan mein phir kabhi.
aur phir kya hoona tha bus sainsse wahi par tham gayi!!!

Intezaar Poetry

Ek Ada Aapki 


Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki…
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki hadh thi;
Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki hadh thi;
Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki hadh thi..!



Jaan se bhi zyada 


Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the
Yaad unhe din-raat kiya karte the
Ab un raahon se guzra nahi jaata
Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the




Pyar Mat Karna


Koi achha lage to use pyar mat karna,
Uske liye apni neenden bekaar mat karna,
Do din to aayenge khushi se milne,
Teesre din kahenge mera intejaar mat karna




Intezaar Hamse Hota Nahi

Intazar hamse hota nahi,
Izhar me zamana lagega,
Mere ishq ko tum kya jaano,
Pyar me to parvana hi jalega.

Dur Na Jaaya Karo

Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai,
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai,
Aaj puchha hai dil ne ek sawal tumse,
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai.

Ek Ajnabi Se

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezaar kyon hai.!

Yaado Ka Ye Karawa

Yaado ka ye karawa hamesha rahega……
Door jaate hue bhi pyaar wahi rahega…..
Maff karna mill nahi sake apse……
Magar yakin rakhana in ankhion mein intezar wahi rahega.

Chale Aao Tum

Chale aao tum! ke hum yaad karte hain,
Yeh woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hain,
Jala ke dil me hasraton ke chirag,
Aapke aane ka intezaar karte hain.


Birthday Poetry



Birthday Shayari



Har raah aasan ho,
Har raah pe khushiya ho,
Har din khubsoorat ho,
Aisa hi poora jivan ho,
Yahi har din meri dua ho,
Aisa hi tumhara har janamdin ho!!!
`
Baar baar yeh din aaye,
baar baar yeh dil gaaye,
tu jiye hazaro saal,
yehi hai meri aarzoo,
Happy B’day To You !!!”
`
Ayi Hai Subhah Wo Roshani Leke,
Jaise Naye Josh Ki Nayi Kiran Chamke,
Vishwas Ki Lau Sada jalake Rakhana,
Degi andheron mein rasta diya banke
Happy Birtday
`



Phool bankar muskarana zindagi,
muskarake gum bhulana zindagi,
jeet kar koi khush ho to kya hua,
haar kar khushiya manana bhi zindagi…
`
Khuda kaise karoon shukriya iss din ke liye
Jis duniye tumhe dharti pe bheja hamare liye
Naa jaane kyon main intezaar kar raha tha
Shayad janmdin hai tumhara iss liye
Meri har ek dua hai teri lambi umr ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis k liye
`
Aa teri Umar mein likh du chand sitaaro se
Tera janam din mein manau phoalo se bahaaro se
har ek khubsurti duniya se mein le aau
Sajaau yeh mehfil mein har haseen nazaaro se
`
Har pal ne kaha ek pal se…
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao…
pal bhar ka saath kuch aisa ho…
ki har pal tum hi yaad aao…
`
Khuda kaise karoon shukriya is din ke liye,
Jis din tumhe dharti pe bheja hamare liye,
Na jaane kyon main intezaar kar raha tha,
Shayad janamdin hai tumhara is liye,
Meri har ek dua hai teri lambi umar ke liye,
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis ke liye.
`
Ugta hua Suraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushbu de aapko,
hum to kuch dene ke kabil nahi hai,
dene wala hazaar khushiyan de aapko!
HAPPY BIRTH DAY
`
Hum aapke janamdin par dete hain yeh dua
Hum aur tum milkar, honge kabhi na juda
Jivan bhar sath denge apna he ye vaada
Tuj par apni jaan bhi denge, apna he ye irada
`
Ek dua mangte hai hum apne Bhagwan se,
chahte hai aapki Khushi pure Imaan se,
Sub hasraten puri ho aapki
aur aap Muskurayen Dilo Jaan se.
`
Agar yaad tumko na rahe apna janamdin,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,
Main kabhi na bhuloonga apne yaar ka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din, Aapko zaroor mera yeh msg.
milega, Jispe likha hoga ”mubarak ho aapko aapka jamdin”
Har lamha apke hothon pe muskan rahe,
Har ghum se aap anjaan rahen,
Jiske sath mehak uthe aapki zindgi,
Hamsha aapke pass woh insan rahe.

Happy Birthday

Friendship Poetry



Meri Dharkano me Aap ka Hi Raz Hoga,
Meri Bat Ka Bas YeHi Andaz Hoga,
Kabhi Bewafaee Nahin Karte Hum Dosti Me,
Meri Dosti Pe Aap Ko Hamesha Naz Hoga!!!
`
Har Sitara Chand k karib nahi hota,
Dil ki Daulat wala garib nahi hota,
Dost tum jaisa mila hai mukaddar se,
Har kisi ka aisa nasib nahi hota….
`
Taron ko ginne wale hum na the,
akele gungunane wale hum na the,
ye to apki Dosti ne aadat laga di…
warna kisi ko itna yaad karne wale hum na the…
`
Har khushi Dil k karib nahi hoti,
zindagi gamo se dur nahi hoti,
ae Dost is Dosti ko sanjokar rakhna,
aisi Dosti har kisi ko nasib nahi hoti…
`
Agar itni Pyari soch tumhari na hoti,
mulakat tumse humari na hoti
tadapte rehte sachche Dost k liye
agar Dosti tumse humari na hoti…

Sunday, August 14, 2011

RAMADAN MUBARAk


RAMADAN MUBARAk

Raat ko naya chand mubarak,
Chand ko chandni mubarak,
Falak ko sitare mubarak.
Sitaroon ko bulandi mubarak.
Aur aap ko hamari taraf se,
“RAMADAN MUBARAK”
Ramadan ka chand daikha,
Rozay ki dua mangi,
Roshan sitara daikha,
Aap ki khairiat ki dua mangi,
May Almight Allah bless you with his
blessing in the holy month of Ramadan
The month of Ramadan,
in which the QURAN was revealed,
a guidance for mankind & clear proofs
criterion(between right & wrong).
So whoever of you is present during
this month should observe its fast.
As the cresent moon is sighted
And the holy month of Ramadan blessings
May Allah bless you with happiness

andgrace your home with warmth & peace
YA ALLAH Ramadan Mubarak Ke Ibtida Hai
Hamay Ziada Se Ziada Nekian Kamanay
Or buraiyon Se Dur
Hone Ki toufeeq Ata Farmaye
Ameen
Gul Ne Gulshan Se Gul Faam Bheja Hai,
Sitaroon Ne Asmaan Se Salam Bheja Hai,
Mubarak Ho Aapko Ramadan Ka Mahina,
Ye Paigham Hamnain Sirf Apko Bheja Hai
Welcome Ramadan
Walk humbly
Talk politely
Dress neatly
Treat kindly
Pray attentively
Donate generously
May ALLAH bless & protect you
As the cresent moon is sighted
And the holy month of Ramadan beings
May Allah bless you with happiness
and grace your home with warmth & peace !
Ramadan Mubarak
Ke Ibtida Hai
Hamay Ziada Se Ziada
Nekian Kamanay
Or buraiyon Se Dur
Hone Ki toufeeq Ata Farmaye

Ameen


Rishton ki ye duniye


Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai DOSTI tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hot pe tumahari..
 
Lehar aati hai, kinare se palat jati hai,
yaad aati hai, dil mein simat jati hai,
dono mein farakh sirf itna hai,
lehar bewaqt aati hai, aur yaad har waqt aati hai..

DOSTI ka pehala pegam aapke naam,
Zindagi ki akhari sham aapke naam.
Iss safar main humsafar hain hum dono,
Is dosti ko nibhana hain aapka kaam.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
 
Poetry - Blogger Templates, - by Templates para novo blogger Displayed on lasik Singapore eye clinic.