Monday, August 15, 2011

Intezaar Poetry

Ek Ada Aapki 


Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki…
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki hadh thi;
Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki hadh thi;
Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki hadh thi..!



Jaan se bhi zyada 


Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the
Yaad unhe din-raat kiya karte the
Ab un raahon se guzra nahi jaata
Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the




Pyar Mat Karna


Koi achha lage to use pyar mat karna,
Uske liye apni neenden bekaar mat karna,
Do din to aayenge khushi se milne,
Teesre din kahenge mera intejaar mat karna




Intezaar Hamse Hota Nahi

Intazar hamse hota nahi,
Izhar me zamana lagega,
Mere ishq ko tum kya jaano,
Pyar me to parvana hi jalega.

Dur Na Jaaya Karo

Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai,
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai,
Aaj puchha hai dil ne ek sawal tumse,
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai.

Ek Ajnabi Se

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezaar kyon hai.!

Yaado Ka Ye Karawa

Yaado ka ye karawa hamesha rahega……
Door jaate hue bhi pyaar wahi rahega…..
Maff karna mill nahi sake apse……
Magar yakin rakhana in ankhion mein intezar wahi rahega.

Chale Aao Tum

Chale aao tum! ke hum yaad karte hain,
Yeh woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hain,
Jala ke dil me hasraton ke chirag,
Aapke aane ka intezaar karte hain.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
 
Poetry - Blogger Templates, - by Templates para novo blogger Displayed on lasik Singapore eye clinic.