skip to main |
skip to sidebar
teri judaai se to ek maut achhi hai
ke roz marne se yahi accha hai
tere husn ki aag mein jal jaane de mujhe
tere hoton ki mey ko pee jaane de mujhe
mil jaaye meri rooh ko maut ka sukun
tere jism ki kabr mein dafan ho jaane de mujhe
jhooti hansi hansne ki aadat ho gayi hai
zindagi teri yaadon ki ibaadat ho gayi hai
bas saans chal rahi hai is murde mein ab
rooh to tere saath hi rukhsat ho gayi hai
Wo college ke dino mein hamaari pehli mulakat
Wo chhp chhup ke ki gayi tumse meethi meethi baat
Wo shararat bhari nazarein tumhari
Wo jhuki jhuki si palkein hamaari
Wo raaton ko karvatein badalna
Wo din bhar tumhare baare mein sochna
Wo sab ke saamne seena taankar tumhara pyar ka izhaar karna
Wo sile honthon se muskura kar hamein uska ikraar karna
Kitni khushiyan aayi thi mere soone jeevan mein
Phir kahan se aa gayi patjhad pyar ke saawan mein
Badalte mausam ki tarah tum bhi badal gaye
Mera saath chhod kad kisi aur ke ho gaye
Apni jaan se azeez mohabbat ko humne khoya hai
Haan mera dil khoon ke aansoo roya hai
Shikayat mujhe tumse nahi apni dhadkan se hoti hai
Jo kisi se to kuchh nahi kehti par akele mein roti hai
Chalo Khain Door Chalty Hain...
Jaha Sirf Hum Aur Tum Hon..
Jaha Koi Ghum Na Huwa Kary..
Sapno Ka Jaha Basa Kary
Chalo Aisi Jagah Chalty Hain..
Jaha Per Pyar Rehta Ho
Jaha Ehsaas Zinda Ho..
Jaha Tery Mery Jazbat Huwa Karien
Chalo Na Kissi Aisi Jagah Chalty Hain..
Jaha Hum Tum Main Gum Ho Kar
Sara Jaha Bhula Dein..
Khushiyaan Hi Khushiyaan Huwa Karien
Chalo Aisi Jagah Chalty Hain
Allama Iqbal Islamic Poetry # 1
Zaban Se Kah Bhi Diya La Ilaha Illah To Kya Hasil
Dil-O-Nigah Musalman Naheen To Kuchh Bhi Naheen”
Allama Iqbal Islamic Poetry # 2
Tum Syed Bhi Ho Mirza Bhi Ho Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuchh Ho Batao Ki Musalman Bhi Ho”
Allama Iqbal Islamic Poetry # 3
Masjid To Banadi Shab Bhar Mein Imaan Ke Hararat Walon Ne
Man Apna Purana Papi Hay Barson Mein Namazi Ban Na Saka
Allama Iqbal Islamic Poetry # 4
Wahi Derina Bimari Wahi Namuhkami Dil Ki
Ilaj Iska Wahi Aabe Nishat Angez Hay Saaqi
Allama Iqbal Islamic Poetry # 5
Batil Du-Ee Pasand Hay Haq La Sharik Hay
Shirkat Miyan-E Haq-O-Batil Na Kar Qubool
Allama Iqbal Islamic Poetry # 6
Manf-E-At Ek Hai Is Qaum Ki Nuqsaan Bhi Ek
Ek Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Iman Bhi Ek
Harame Paak Bhi Allah Bhi Quran Bhi Ek
Kuchh Bari Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek
Abhi in aankho ne dekha hi kya hai
Abhi is dil ne chaha hi kya hai
Abhi to aashaon ne aasmano ko chhuna bhi nhi sikha
Abhi aarzoo ne hawaon ke sath udna bhi nhi sikha
Apne khaabo me mai bhi rang bharlu
Agar chand saanse tu ada karde to
Ay meri zindagi
Tu jo thodi si wafa karde to.......
Abhi dosto se adhuri rahi bate to puri karlu
Abhi mere aapno se gale to mil lu
Abhi kuchh adhure kaam pure to karlu
Abhi jo paya hoon uske sajde to karlu
Jiska kabse intezar hai uske liye thoda aur tadap lu
Agar chand saanse tu ada karde to
Ay meri zindagi
Tu jo thodi si wafa karde to.......
Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna.....!! !
************ ********* ********* *
MERI DUAON ME AAPKA JIKR HAMESHA RAHEGA
AAPKI JINDGI ME MERA SAATH HAMESHA RAHEGA
BHALE HI HUM DUR HI SAHI PAR....
DIL SE DIL KA RISHTA HUMESHA RAHEGA...... ..!
************ ********* ********* *
2M ZAMAANE K HO HAMARE SIVA
HUM KISI K NAHI 2MARE SIVA
2MHE YAKIN DILAYE TO KIS TARAH....... .
AAKHIR KI..........
HAMARA KOI NAHI 2MHARE SIVA
************ ********* ********* *
Har hansi ko ikraar nahi kehate,
har jagah baithne ko intezaar nahi kehate,
yun to nazar milti hai hazaronse,
har nazar ke milne ko pyaar nahi kehate